20th Ramadan Fateh Makkah


Fateh Makkah ke din Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne ahle makkah ko aam maafi dedi thi magar ek jamaat aisi thi jisko iss hukm se mustasna rakha gaya tha. Aur unke liye hukm huwa ke jahan paye jaaye qatl kar diye jaaye. In mein se baaz ke qatl hone ke baad unmein se kuch log Tauba wa Ruju aur Imaan ki badaulat maamun huwe aur qatl se nijaat paayi.


Chaar mard jinka qatl huwa

1 - Abdullah bin khatl.
2 - Haweras bin nakeed.
3 - Mukees bin sababa.
4 - Haris bin talatala.


Woh 7 mard jinhone tauba wa ruju kiya

1 - Abdullah bin abi sarj.
2 - Ikraam bin abi jahal.
3 - Safwan bin ummaiyah.
4 - Hibaar bin Aswad.
5 - Ka'ab bin zaahir.
6 - Wahshi bin harb.
7 - Abdullah bin jabari.


Woh aurtein jo fateh Makkah ke mauke par maamon rahi

1 - Hinda binte utbah jauza abu sufiyan. 2 - Kartana yeh ibne katal ki bandhi thi.

Sarah jo bani mutlib ki baandhi thi inke liye aulma mein ikhtelaf hai ke yeh maamon rahi ya inka qatl huwa.


Woh aurtein jo Fateh Makkah ke din qatl ki gayi

1 - Kareeba ibne katal ki bandhi.
2 - Arnab ibne katal ki bandhi.
3 - Umme saa'ad.



[Madarijun Nabuwwat 2/494-507]

Post a Comment

0 Comments