17th Ramadan Battle of Badr (Jang-e-Badr)



Battle of Badr (Jang-e-Badr) 17 Ramādan-ul-Mubarak 2 Hijri, ko Jumu’ah ke din hui, jisme 313 Musalman the , jabke kaafir taqrbeen 1,000 , Badr ek kua hai jo ek shaks Badri bin Aamir ne khoda tha iske Naam par us ilaaqe ka naam Badr ho gaya.
.
Allah Quran me farmata hai:
وَ  لَقَدْ  نَصَرَكُمُ  اللّٰهُ  بِبَدْرٍ  وَّ اَنْتُمْ  اَذِلَّةٌۚ-فَاتَّقُوا  اللّٰهَ  لَعَلَّكُمْ  تَشْكُرُوْنَ ‎
(۱۲۳) 

“Aur beshak Allah ne Badr me tumhari Madad ki jab tum bilkul be saro saaman the, to Allah se darte raho taake tum shukr guzar ban jaao”
[Qur’ān Kareem 3: 123]
.
Yaha Allah apne azeem ehsan ko bayan farma raha hai, ke Gazwaye Badr me jab musalmano ki tadad bhi kam thi aur unke pas hathiyaro aur sawaro ki bhi kami thi, jabke kaafir tataad aur jangi taqat me bhi Musalmano se kai zayada the, is halaat me Allah ne Musalmano ki madad farmaya, aur Kaafiro par Fatah ata farmayi.

[Tafseer Saawi 3:123]
.
Yaad karo Aye Habeeb jab tum Musalmano se farma rahe the, kya tumhe ye kafi nhi ke tumhara rab 3,000 farishte utaar kar tumhari madad kare ? Haan kyu Nahi agar tum sabr karo aur Taqwa Ikhtiyar karo to aur Kafir usi waqt tumpar Hamla karde, to tumhara Rab 5,000 Nishan wale farishte ke sath tumhari madad farmayega”

[Qur’ān Kareem 3: 124-12]
.
"Ye ek Gaibi Khabar thi jo baad me puri hui aur Allah paak ne 5,000 farishto ke zariye se jang-e-Badr me Musalmano ki Madad ki"

Post a Comment

1 Comments