🔶Taravih Ke Masail🔶


🔹"Taravih mard aurat dono ke liye sunnat e mo'akkida hai is ko chhodna jaaiz nahi aur ye 20 raka'ate hai,

iska waqt isha ki farz padhne ke bad se to fajar ka waqt shuru hone tak hai Taravih vitr ki namaz padhne se pehle bhi padh sakte hai aur bad me bhi,

Taravih me ek bar Quran Majeed padhna sunnate mo'akkida hai (aur koi hafiz na ho to alam tara se padhe aur jisko ye surte yad na ho to usko jo surte yad hai wo surat padhe)

Taravih me jama'at sunnat e mo'akkida kifaya hai ke sab log chhod denge to sab gunahgar honge aur kuchh ne padhli to sab bari hai,

(Taravih ki niyat usi tarha hogi jis tarah dusri namazo ki hoti hai."🔹

📙 Bahar E Shariat Jild 1 Hissa 4.📙

Post a Comment

0 Comments