SHAB - E - QADR Taaq ( Odd ) Raato ( Yaani 21,23,25,27,29 ) Me Talash Karo.
[Mafhoom-e-Hadees Bukhari Hadees #2020 ]
SHAB - E - QADR YAANI
Shab e Qadr sharf (opportunity) aur barkat waali raat hai. Isko Shab e Qadr isliye kehte hai ke is raat me saal bhar ke hukm diye jaate hai. Aur farishto ko saal bhar ke kaamo aur khidmat par lagaya jaata hai. Aur ye bhi kaha jata hai ke is raat me dusri raato par Sharafat aur qadr (value , ki wajha se ise Shab - e Qadr kaha jaata hai. Aur ye bhi kaha jaata hai ke chunke is raat me Nekiya qubool hoti hai aur Allah ki bargah me qadr ki jaati hai Isliye isko Shab e Qadr kehte hai.
[TAFSEER UL KHAAZIN : SURAH 97 : AYAH 01]
Rasūlullāhﷺ ne Farmaya : “Jisne is raat me Imaan aur Ikhlaas ( sacche Dil ) ke sath jaag kar ibadat ki to Allah uske pichle gunaah Bakhsh deta hai !"
[SAHEEH BUKHARI : KITAB UL IMAAN : Hadees # 35]
Allah ﷻ Farmata hai :
انا انزلنه في ليلة القدر
"BESHAK HUMNE IS QUR'AN KO SHAB - E - QADR ME UTAARA "
[AL - QUR'AN - AL - KAREEM 97:01]
“Yaani Shab - e - Qadr me pura Qur'an lohe Mahfuz se Duniya ke Aasman tak utara gaya
[TAFSEER JALALAIN : SURAH 97 : AYAH 01]
0 Comments